Technology Tips, Android Phone Tips, Tech Videos, Smartphones Reviews, Gadgets, Software, Computer Tips, Earning Tips etc.

Saturday, December 17, 2022

How to send files from android phone to Smart Tv | How to Install android application in Smart Led Tv

How to send files from android phone to Smart Tv | How to Install android application in Smart Led Tv






Hello Dosto aaj me aapko bataunga ki aap apne android mobile se apne smart tv mein koi bhi files aur folder kaise send kar sakte ho aur aap apne android mobile ki apps ko apne smart tv mein send karke usse install kaise kar sakte ho.


Sabse pehle aapko apne smart tv mein ek application ko install karna pdega, iske liye aapko apne smart tv ke playstore mein jana hai, aur waha par aapko search karna hai,


Send Files to Tv ye aaplication aapke samne aa jayegi, iss application ko aapko apne smart tv mein install kar lena hai.

Ab aapko apne smart tv mein ek aur application ko install karna pdega, ab aapko waha par search karna hai, File Commander iss appication ko bhi aapko apne smart tv mein install kar lena hai.


Dosto ye jo Send Files to Tv application hai isse aapko apne smart tv aur smartphone dono mein install karna pdega. ab aapko iss application ko apne smart tv mein install karke Open kar lena hai, aur yaha par aapko Receive par click kar dena hai.

Ab jana hai aapko apne android mobile mein, aur aapko Send Files to Tv aaplication ko apne mobile mein bhi install kar lena hai,


Aur install karne ke baad isse open kar lena hai. open karne ke baad aapke samne kuch aisa interface aayega, ab aapko yaha par Send button par click karna hai, aur send pe click karne ke baad yaha par aapke mobile ka file manager open ho jayega,



Ab aap yaha par jo bhi file, folder, music, videos ya appication kuch bhi send karna chahte hai, aap yaha par simply send kar sakte hai.




Yaha par aapko dhayan dena hai ki aapka mobile aur aapka smart tv same wifi network ya same mobile ke hotspot se connected hone chahiye.

File send hone ke baad aapke samne kuch aisa interface aayega, ab aapko jana hai apne smart tv mein File Commander application ko open karna hai, yaha par aapko stoarge mein jana hai aur aapne jo bhi file apne smart tv mein send ki hogi yaha par aapko wo dikhai dene lag jayegai, yaha par aapne jo bhi file ko send kiya hoga wo aapko Download wale folder mein dekhne ko milega.


Agar aapne yaha par kisi bhi application ko apne smart tv mein send kiya hoga to aap yaha par simply click karke usse install kar sakte hai, jaise ki maine yaha par application ko send kiya hai.


Isi tarah se aap apne android mobile se apne smart tv mein files ko send kar sakte ho aur apne mobile ki apps ko apne smart tv mein install karke access kar sakte ho.

Iske baare mein maine complete video bhi banaya hua hai, agar aap chahe to aap yaha par click karke mere Youtube Channel par jakr video bhi dekh sakte hai.

No comments:

Post a Comment