Technology Tips, Android Phone Tips, Tech Videos, Smartphones Reviews, Gadgets, Software, Computer Tips, Earning Tips etc.

Saturday, December 17, 2022

How do I Hide apps on my phone without deleting them | How to hide apps on android without disabling

How to hide apps on android without any app | How to hide apps on android without disabling





Hello Dosto aaj me aapko bataunga ki aap apne android mobile mein Apps ko kaise hide kar sakte ho aur wo bhi bina kisi third party app ke, iske liye sabse pehle aapko apne android mobile ki settings me jana hai aur settings me jane ke baad aapko waha par search karna hai.


HIDE APPS search karne ke baad aapke samne kuch aisa interface aayega, agar aap Xiomi ka phone use kar rhe hai to aapko iss tarah se hide apps ka option dikhai dega aur agar aap kisi aur company ka phone use kar rhe hai, jaise ki OPPO, VIVO ya koi bhi to aapko waha par Encrypted Apps, Lock Apps ka option bhi dekhne ko mil sakta hai. aapko simly waha par click kar dena hai, aur yaha par aapko ek password set kar lena hai, password set karne ke baad aapke samne kuch aisa interface aayega,


yaha par aapko dekh sakte hai aapko apps ko hide karne ke baad usse kaise access karna hai. aapke samne mobile ki sabhi installed apps dikhai de rhi hongi, aap jis bhi app ko hide karna chahte hai, simply aapko uss app par click kar dena hai.


click karne ke baad wo app aapke mobile se hide ho jayegi, ab aapko apne mobile ki home screen par jana hai aur ab aapko waha par two fingers ke saath swipe out karna hai, aur swipe out karne ke baad yaha par aapko wo pattern ya password enter karna hai, jo bhi aapne set kiya tha, aur password enter karne ke baad aap dekh sakte hai ki jo bhi app ko aapne hide kiya tha aap yaha par aapkr usse simply access kar sakte hai.
    

kahi bhi aapko ye hide ki hui app aapke mobile mein dekhne ko nhi milegi. agar aap aur detail se jan na chahte hai to aap yaha par click karke mere Youtube Channel par jakr video bhi dekh sakte hai.

Isi tarah se aap apne android mobile mein bina kisi third party app ke apne mobile ki apps ko hide kar sakte hai.


No comments:

Post a Comment