Technology Tips, Android Phone Tips, Tech Videos, Smartphones Reviews, Gadgets, Software, Computer Tips, Earning Tips etc.

Friday, November 25, 2022

What is IFTTT App and how does it work | IFTTT App kya hai ye kaise kam karti hai

What is IFTTT App and how does it work | IFTTT Applets | IFTTT App kya hai ye kaise kam karti hai





Hello Dosto, aaj me aapko bataunga IFTTT App kya hai, ye kaise kam karti hai aur ye aaplication aapke liye kaise useful ho sakti hai. 
Dosto iss aaplication mein aap Applets create kar sakte ho, jaise ki iss aaplications me aap commands set kar sakte ho. iss aaplication ko kaise use karna hai isi ke baare mein me aapko batane wala hu.

Sabse pehle aapko iss aaplication ko Play Store me jakr apne android mobile mein install kar lena hai.


Install karne ke baad aapke samne kuch aisa interface aayega, ab aapko yaha par simply Sign Up karke ek account bna lena hai, Sign Up karne ke baad aapke samne kuch aisa interface aayega.



Ab aapko Create Button par click karna hai


yaha par aap applets create kar sakte ho, jaise ki yaha par aapko likha hua dikhai de rha hoga If This yaha par aapko side mein Add button par click karna hai.


click karne ke baad, ab aapko koi bhi ek action choose kar lena hai, yaha par aapko bahut saare options dikhai de rhe honge, jaise ki yaha par me choose kr leta hu, Android Device option ko, ab me select kar leta hu Connect to Any Wifi Network, aap koi bhi select kar sakte ho.


ye ab maine select kar liya IF This, matlab jab bhi mera phone kisi bhi WiFi Network ke saath connect ho to mere mobile mein kya hona chahiye. yaha par aap koi bhi action choose kar sakte hai.


Ab aapko choose karna hai Then That ko aur side mein Add button par click kar dena hai, jaise me yaha par me click kar leta hu.


Notifications Option par, aur yaha par me choose kar leta hu, Send a Notification from the IFTTT App, matlab jab bhi mera mobile kisi bhi Wifi Network ke saath connect ho tab mere mobile mein notification aa jaye.
Dosto ye to bs ek chota sa example hai aur iss application ke saath aap bahut saare kam aur multi tasking bhi easily kar sakte ho aur ye application aapke liye bahut jyada useful bhi ho sakti hai.

No comments:

Post a Comment