Technology Tips, Android Phone Tips, Tech Videos, Smartphones Reviews, Gadgets, Software, Computer Tips, Earning Tips etc.

Monday, November 14, 2022

How to remove Oppo A11k/A12 CPH2083 pin lock pattern lock password unlock with Sp flash Tool

Oppo A11k/A12 CPH2083 remove pin lock pattern lock password unlock with Sp flash Tool


Hello Dosto, aaj me aapko bataunga ki aap Oppo A11k/A12 ya fir aap Oppo ke kisi bhi phone ke Pin Pattern ko agar bhul gye ho to aap usse kaise remove kar sakte ho. iske liye aapko apne mobile ko flash karne ki jrurat nhi hai aap simply bina flashing ke apne mobile ke pin ya pattern ko remove kar sakte ho.

Sabhi Required Download files ka link aapko niche dekhne ko mil jayega.

Sahle jana hai aapko SP Flash Tool me, flash tool open hone ke baad aapke samne kuch aisa interfece aayega


yaha par aapko kuch files ko select karna hai, first number aapko dikhai de rha hoga Download Agent matlab aapko DA file ko select karna hai. aapko side me choose button pe click karna hai aur jahan par bhi aapne file ko rakha hai aapko usse select kar lena hai.


Second number pe aap dekh sakte hai Scatter Loading File aapko yaha par scatter file ko select karna hai, side me aapko choose ka button dikhai de rha hoga aapko waha par click karna hai aur Scatter file ko bhi select kar lena hai.


ab aap third number pe dekh sakte hai Authentication File aapko yaha par authentication file par click karna hai , yaha par bhi aapko side me choose button par click karna hai aur file ko select kar lena hai.


ab aapko jana hai uper ki taraf second option me Format mein, yaha par aapko yaha par aapko manual flash par click karna hai.


aur yaha par aap dekh sakte hai Begin Address and Format Address aapko yaha par aapko dono ko remove karke khud se address dalna hai, ye address aap scatter file ko open karke usme se bhi nikal sakte hai



jo aapko Physical Address aur Partition Size ke name se milega ya fr aapko ye address bhi niche dekhne ko mil jayega. yaha par dono addresses ko daal dena hai.


ab aapko open karna hai MCT Bypass Tool ko open karne ke baad aapke samne kuch aisa interface aayega


aur ab aapko apne mobile ko Switch Off karna hai, off karne ke baad aapko apne mobile ke Volume Up + Volume Down key ko ek saath press karke usb cable ke saath connect kar dena hai, usb cable ka dusri side computer se connected hona chahiye aur ab aapko yaha par Bypass ke button pe click kar dena hai, ap aap dekh sakte hai aapke samne kuch aisa interface aayega.


ab aapko isse minimize kar dena hai aur ab aapko mobile ko side me rakh dena hai but cable connected honi chahiye, ab jana hai aapko SP Flash Tool mein aur aapko yaha par Options ke button par click karna hai iske baad Connection ke option par click karna hai yaha par aapko UART ke option me COM Port ko select kar lena hai.


jo bhi COM Port number aapko MCT Bypass Tool me detect kiya hoga aapko uss port number ko select karna hai but agar wo COM Port yaha par dikhai nhi de rhi jo bhi mct bypass tool ne detect kiya tha to


aapko simply niche ki taraf USB ke option par click kar dena hai, usb pe click karne ke baad ye isse auto detect kar lega


ab aapko SP Flash Tool mein Start Button par click karna hai, ab aap dekh sakte hai aapke samne kuch aisa interface aayega.


ab aapko yaha par Green Color ka ek button dikhai dega isme Format Ok likha hua aapko dikhai dega. ab aapko apne mobile ko cable se disconnect kar dena hai aur mobile ko On kar dena hai mobile ke on hone ke baad aapko simply apne mobile ki language select karni hai aur aapko click karna hai Emergency Call par aur yaha par aapko dialer me type karna hai *#813# aur isse dial kar dena hai


dial karne ke baad aapka mobile automatically yaha par boot ho jayega aur yaha par aap dekh sakte hai jo bhi lock pin pattern lga hua hoga wo remove ho chuka hai.


Issi tarah se aap Oppo ke kisi bhi phone me koi bhi Pin Pattern ko remove kar sakte hai.

Iske baare mein maine video bhi banaya hua hai agar aap chahe to aap yaha par click karke mere Youtube Channel par jakr video bhi dekh sakte hai.

Download required files

Tools and files for Oppo A11k/A12

File Password : rktechandsolution




OPPO-A11k,A12(CPH2083) Zip File



No comments:

Post a Comment