Technology Tips, Android Phone Tips, Tech Videos, Smartphones Reviews, Gadgets, Software, Computer Tips, Earning Tips etc.

Thursday, November 10, 2022

How do I password protect a folder in file manager on android | Kisi bhi file or folder par password kaise lagaye

How do I password protect a folder in file manager on android | Kisi bhi file or folder par password kaise lagaye



Hello dosto, aaj me aapko bataunga ki aap apne android mobile mein kisi bhi file ya folder par password kaise laga sakte hai. iske liye sabse pehle jana hai aapko apne mobile ke playstore mein aur waha par aapko search karna hai, Zarchiver ab aapko iss aaplication ko apne android mobile mein install kar lena hai.



Application ke open hone ke baad aapke samne kuch aisa interface aayega


Yaha par aap jis bhi file ya folder par password lagana chahte ho ya fr aap kisi photo ya video par bhi password lagana chahte ho to aap yaha par laga sakte ho. 


Aapko uss file ko long press karke select kar lena hai, aur ab aapko yaha par ek Compress ka button dikhai dega aapko waha par click karna hai, click karne ke baad agar aap chahe to aap file ka format set kar sakte hai


Ab aapko niche ki taraf Enter Password likha hua dikhai de rha hoga, aapko waha par click karke ek password set kar lena hai aur Ok button par click kar dena hai.


Ok karne ke baad aapke samne ek aur file zip format mein ya fr jo bhi aapne select kiya hoga, waha par aapko dikhai dene lag jayegi


Ab jab aap iss file ko open krenge to iske liye aapko password ki jrurat padegi. isi tarah se aap kisi bhi file, folder ya media par password laga sakte hai.
Iske baare mein maine complete video bhi banaya hua hai, aap chahte to aap mere Youtube Channel par jakr video bhi dekh sakte hai.

No comments:

Post a Comment