Technology Tips, Android Phone Tips, Tech Videos, Smartphones Reviews, Gadgets, Software, Computer Tips, Earning Tips etc.

Monday, November 14, 2022

How to Flash Stock Rom in Any Xiomi Redmi Mobile | How to Fix Error While Flashing Rom in any Xiomi Redmi Phones with Mi Flash Tool | Redmi Note 9 Pro

How to Flash Stock Rom in any Xioami Redmi Mobile | How to Fix Error While Flashing Rom in any Xiomi Redmi Phones with Mi Flash Tool Ft.Redmi Note 9 Pro

Hello Dosto, aaj me aapko bataunga ki aap Xioami ke kisi bhi android mobile mein stock rom, firmware ya software ko kaise flash kar sakte hai.

Dosto mobile me software flash karne ke 2 method hote hai, first jaise ki ham kisi bhi custom recovery ke saath apne android mobile me he rom flash kar sakte hai aur second jaise ki ham apne android mobile mein fastboot rom ko flash kar sakte hai jo ki sirf computer ke saath uss mobile ke tool ke saath flash ki jati hai. isme me aapko bataunga ki aap fastboot rom ko apne android mobile mein kaise flash kar sakte hai aur kabhi kabhi fastboot rom flash karte waqt hame error dekhne ko mil jati hai to iske baare mein bhi me aapko aaj bataunga.

Sabse pehle fastboot rom ko flash karne ke liye ek Mi Flash Tool ki jrurat padegi aur aapko uss phone ke firmware ya rom ki jrurat pdegi jis bhi phone me aap rom ko flash karna chahte hai. sabse pehle aapko apne pc mein Mi Flash Tool ko install kar lena hai aur install karne ke baad isse open kar lena hai.


 

yaha par permissions ko allow karke country ko select kar lena hai aur ok pe click kar dena hai, flash tool open hone ke baad aapke samne kuch aisa interface aayega. ab aapko jana hai jahan par aapne phone ki rom ko rakha hai usko aapko extract kar lena hai aur open kar lena hai open karne ke baad aapko simply uper ki taraf search baar mein address ko copy kar lena hai.


aur flash tool me aakr aapko isse paste kar dena hai.


ab aapko apne mobile ko boot karna hai fastboot mode mein aur iske liye aapko apne mobile ko switch off karna hai aur aapko power button + volume down key ko ek saath press karna hai aur aapka mobile fastboot mode mein on ho jayega.


Iss method ko use karne ke liye aapke mobile ka bootloader unlock hona chahiye aur usb drivers bhi install hone chahiye.


ab aapko apne mobile ko apne pc ke saath usb cable ke saath connect kar dena hai aur usb ki dusri side computer se connected honi chahiye. ab aapko refresh ke button pe click karna hai aur yaha par aap dekh sakte hai iss flash tool ne mobile ko detect kar liya hai


yaha par aapko dhayan rkhna hai ki niche ki taraf aapko 3 options dikhai de rhi hongi yaha par aapko clean all pe select kar dena hai agar aap isse clean all and lock par select kroge to flashing complete hone ke baad aapke mobile ka bootloader bhi close ho jayega agar aap chahe to isse aap apne according set kar sakte hai. ab aapko flash ke button par click kar dena hai.iske liye aapko 5-10 minutes ka time lag sakta hai.


Agar aapko flashing karte waqt kabhi koi error dekhne ko mil jati hai


Iske liye aapne jahan par bhi phone ki rom ko rkha hai usse copy karke aapko apne computer ki C Drive me paste kar dena hai



aur ab aapko flash tool me C Drive wali rom ke address ko copy karke daal dena hai


baki sab same procedure karna hai, ab aapko kisi bhi tarah ki koi error bhi dekhne ko nhi milegi.
Isi tarah se aap Xioami ke kisi bhi phone me fastboot rom ko flash kar sakte hai.

Iske baare mein maine video bhi banaya hua hai agar aap chahe to aap yaha par click karke mere Youtube Channel par jakr video bhi dekh sakte hai.

No comments:

Post a Comment