Technology Tips, Android Phone Tips, Tech Videos, Smartphones Reviews, Gadgets, Software, Computer Tips, Earning Tips etc.

Saturday, November 5, 2022

How to create multi bootable pen drive from iso with WinSetupFromUSB | Make multiboot usb windows pendrive 7 and 8 and 10 download

How to create multi bootable pen drive from iso with WinSetupFromUSB | Make multiboot usb windows pendrive 7 and 8 and 10 download

Hello Dosto, aaj me aapko bataunga ki aap kisi bhi pendrive ko multi bootable windows pendrive kaise bana sakte hai, matlab aap ek he pendrive mein multiple windows ko kaise daal sakte hai.

Iske liye aapko uss windows ki ISO files chahiye hogi jis bhi windows ko pendrive me daalkar multi bootable pendrive banana chahte hai, aur aapko ek software ki bhi jrurat pdegi jiske saath aapko windows ko pendrive me daalkar multi bootable pendrive banayege.

Sabhi download required files ka link aapko niche dekhne ko mil jayega.

Sabse pehle aapko ek software ko apne computer mein download karke install kar lena hai, Install karne ke baad isse open kar lena hai, open karne ke baad aapke samne kuch aisa interface aayega.

Ab aapko apne computer ke saath pendrive ko connect kar dena hai, jis bhi pendrive ko aap bootable banana chahte hai aur usme windows dalna chahte hai, pendrive connect karne ke baad Refresh ke button par click karna hai, aur yaha par ye uss pendrive ko detect kar lega.

    


Aur ab aapko yaha par dhayan dena hai ki yaha par aapko Auto Format par tick kar dena hai, ab aapko yaha par niche ki taraf Advanced Options me jana hai aur Custom Menu Names for 2000/XP/2003 Setup par tick kar dena hai.

Ab aapko Windows Vista 7/8/10/Server 2008/2012 based ISO par click karna hai


Ab aapko yaha par side mein brows ka option dikhai dega, aapko waha par click karna hai, aur Windows ki ISO file ko select karna hai, jahan par bhi aapne ISO file ko rakha hai, select karke usse open par click kar dena hai.

Ab aapko niche ki taraf GO ka button dikhai de rha hoga, aapko waha par click kar dena hai


Ab aapke samne yaha par 2 bar warning aayegi to aapko usse padh ke Yes par click kar dena hai


Ab aapke samne kuch aisa interface aayega yaha par aapko name type karna hai, jo bhi aap folder ka name rakhna chahte hai, aap waha par likh sakte hai.



Ab aapke samne fir se aisa kuch interface aayega yaha par aapko file ka name type karna hai, aap chahe to yaha par aap jo bhi windows ko pendrive mein daal rhe hai, aap wo name type kar sakte hai.


Ab aapki pendrive bootable ban na shuru ho jayegi aur ab aapko yaha par wait karna hai, km se km isme aapko 15-20 mint ka time lag sakta hai ya fir ye depend krega aapke computer ki speed par.

Processing complete hone ke baad aapke samne kuch aisa interface aayega aur yaha par aapko JOB DONE likha hua dikhai dega.

Aur agar aap uss pendrive mein aur bhi Windows ko dalna chahte hai to aako firse yahi sara process karna pdega but aapko yaad rakhna hai ki dusri baar Auto Format par click nhi karna hai.

Issi tarah se aap kisi bhi pendrive mein Windows daal sakte hai, aur pendrive ko Multi Bootable bana sakte hai

Iske baare mein maine complete video bhi banaya hua hai, aap chahe to video ko mere Youtube Channel par bhi jakr dekh sakte hai.

Download Link

WinSetupFromUSB Download Link Windows ISO File Download Link


No comments:

Post a Comment