Technology Tips, Android Phone Tips, Tech Videos, Smartphones Reviews, Gadgets, Software, Computer Tips, Earning Tips etc.

Friday, October 14, 2022

How to get call details of any mobile number | Call history kaise nikale Jio, Airtel, Vodafone Idea

How to get call details of any mobile number | Call history kaise nikale Jio, Airtel, Vodafone Idea




Hello Dosto, aaj mein aapko bataunga ki aap kisi bhi number ki call details kaise nikal sakte ho, jaise ki aap Jio, Airtel aur Vodafone Idea ki call details kaise nikal sakte ho.

Sabse pehle me aapko btata hu aap, Jio number ki call details kaise nikal sakte ho, iske liye aapko apne mobile ke play store me jana hai, aur play store me jakr MyJio app ko download kar lena hai, iske baad aap jis bhi Jio number ki call details nikalna chahte hai, aapko MyJio app me wo number dalkar register kar lena hai




Uske baad aapko niche ki taraf slide karna hai aur waha par aapko ek Call Details ka option dikahi dega, aapko Call Details par click krna hai, click karne ke baad, waha par, Messages, Call Details aur Data Usage ki details dekh sakte hai, aapko waha par 




Calls option par click karna hai aur waha par aapko last 3 din ki calls details dikhai degi, 




Aap jitni bhi din ki Call Detail dekhna chahte hai waha par aap date select kar sakte hai aur iss application mein aap last 180 days ki Calls Details nikal kar dekh sakte hai.


Vodafone idea ki Call Details dekhne ke liye aapko apne mobile ke play store me jana hai, aur waha par aapko Vi App ko download kar lena hai, download karne ke baad aap jis bhi number ki Call Detail dekhana chahte hai aapko wo number dalkar uss App mein register kar lena hai




Aapko niche ki taraf ek My Account ka option dikhai de rha hoga, aapko waha par click karna hai 




Recharge History & Prepaid Bills wale option par click karna hai, click karne ke baad aapko waha par Email Bill par click krna hai



Aapko apni Email Id dalkar register kar lena hai




Register karne ke baad, aap jis bhi month ki Call Details nikalna chate hai, aap usse select karke apni registered Email Id par Email kar sakte hai.


Airtel number ki Call Details nikalne ke liye aapko simply apne mobile ke Text Messages me jana hai, aur aap jis bhi number ki Call Details nikalna chahate hai, aapko uss number se ek message send karna hai, aur aapko Message me type karna hai



EPREBILL SEP EMAIL-ID

EPREBILL likhne ke baad aapko wo month likhna hai jis bhi month ki Call Details nikalne chahte hai, jaise ki maine SEP likha hai aur last mein aapko EMAIL-ID type krni hai, jis bhi email id par aap Call Details mangwana chahte ho, uske baad aapko ye message send kar dena hai, aur aapne jo bhi email id dali hogi uss id par aapko call details ki mail aa jayegi but wo file password protected hogi aur jis bhi number se aapne ye message send kiya hoga, uss number par he aapko ek message aayega jisme aapko uss file ka passoword milega.

Isi tarah se aap Jio, Airtel aur Vi ki Call Details nikal sakte ho, Iske baare mein maine complete video bhi banaya hua hai, agar aap aur detail se jan na chahte hai to aap mere Youtube Channel par jakr video bhi dekh sakte hai.


No comments:

Post a Comment